Latest News

Thursday 3 November 2016

Tere Naal Ishqa Lyrics – Shivaay | Kailash Kher


Teri tarah mujhe duniya mein
Nahi koi chaah sakta
Tere dil mein fikr meri
Rahein shaam o subah
Tere dil mein har pal hardum
Hai khayal mera hi hai basta
Tere labh pe zikr mera
Rahein shaam o subah
Tere sath hoon mehfooz sada
Itna tujhpe hai yakeen mera
Tapti jalti inn rahon mein
Tu saaya mera
Sehra bhi hai gulshan ban jaata
Khushbu ki tarah jab tu aata
Iss zindagi mein har ghadi
Chaahun teri panaah
Tere naal ishqa mera
Tere naal ishqa mera
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera
Zyada main de doon sadka
Zyada main de doon sadka
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera
Tapti jaldi inn rahon mein
Tu saaya mera
Ho ik tere seenein se lag kar hi
Mere dil ko aaye sukoon
Jab gham koi sataye mujhe
Main tujhe hee toh dekhun
Jazbaat mere na koi samjha
Iss duniya mein tu ik tere siva
Har dil har shabh teri baahon mein
Hai chain mila
Sehra bhi hai gulshan ban jata
Khushbu ki tarah jab tu aata
Iss zindagi mein har ghadi
Chaahun teri panaah


Tere naal ishqa mera Tere naal ishqa mera
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera

Zyada main de doon sadka
Zyada main de doon sadka
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera
Ho tera naam main jis bhi ghadi
Honthon pe laata hun
Lafzon mein kahi khud hi chhupa
Ehteraam main paata hun
Chahe dekhlun main ye saara jahan
Sabse haseen manzar tu mera
Rehta basta nigaahon mein
Ik chehra tera
Sehra bhi hai gulshan ban jata
Khushbu ki tarah jab tu aata
Iss zindagi mein har ghadi
Chaahun teri panaah
Tere naal ishqa mera
Tere naal ishqa mera
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera
Zyada main de doon sadka
Zyada main de doon sadka
Lagta ibaadat warga
Tere naal ishqa mera mera
Mere sang tu sada
Tu hai saaya mera
Chaahun teri panaah (x2)

No comments:

Post a Comment

Search This Blog

Popular Posts

Featured post